donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jan Nisar Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar ham, *
Bhuule na kisii haal meN aadaab-e-nazar ham,
muR kar na tujhe dekh sake vaqt-e-safar ham,
ai husn! kisii ne tujhe itnaa to na chaahaa,
barbaad hu’aa tere liye kaun, magar ham,
jiine ka hameN Khud na milaa vaqt to kyaa hai,
logoN ko sikhlaate rahe jiine kaa hunar ham,
ab tere ta’lluq se hameN yaad hai itnaa,
ek raat ko mehmaan rahe the tere ghar ham,
duniyaa kii kisii chhaaNv se dhundlaa nahiiN saktaa,
aaNkhoN meN liye phirte haiN jo Khvaab-e-sehar ham,
(Khvaab-e-sehar : dream of dawn)
vo kaunsii aahaT thii jo KhvaaboN meN dar aayii,
kyaa jaaniye kyuuN chauNk paRe picchle pehar ham.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345