donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jan Nisar Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai, *
Tuu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai,
tujhe alag se jo sochuuN, ajiib lagtaa hai,
jise na Husn se matlab na ishq se sarokaar,
vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagtaa hai,
huduud-e-zaat se baahar nikal ke dekh zaraa,
na ko’ii Ghair, na ko’ii raqeeb lagtaa hai,
ye dostii, ye maraasim, ye chaahateiN ye Khuluus,
kabhii kabhii ye sab kuch ajiib lagtaa hai,
ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko’ii taaraa,
mujhe charaaGh-e-dayaar-e-Habeeb lagtaa hai,
na jaane kab ko’ii tuufaaN aaye gaa yaaroN,
buland mauj se saaHil qareeb lagtaa hai.

huduud – boundaries
Khuluus – sincerity
ufaq – horizon
dayaar – home
mauj – wave
saaHil – shore
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378