donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jauhar Badayuni
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Barham bhii hai vo barsar-e-aazaar-e-kiiN bhii hai *
Barham bhii hai vo barsar-e-aazaar-e-kiiN bhii hai,
halaNke merii be-gunaahii kaa yaqiiN bhii hai,
ek kash-ma-kash meN hai dil-e-ummiidvaar-e-diid,
kuch hai bhiii aitbaar-e-nazar, kuch nahiiN bhii hai,
diivaar-e-baaGh, sahn-e-chaman, shaaKh-e-aashiyaaN,
aaKhir chaman meN mera Thikanaa kahiN bhii hai,
( shaaKh-e-aashiyaaN : a branch in the garden)
ashk-e-vafaa kii hai tere daaman se aabruu,
yuuN ashk pochne ko merii aastiiN bhii hai,
(ashk : tears; vafaa : loyalty; aabruu : prestige; aastiiN : sleeve)
is darjaa unke ahd-e-vafaa par huuN shaadmaaN,
jaise vafaa ke ahd kaa mujhko yaqiiN bhii hai,
(darjaa : level; ahd : promise; shaadmaaN : happy)
itnaa to pahle soch le ai hasrat-e-sujuud,
us aastaan-e-naaz ke qaabil jabiiN bhii hai,
(hasrat-e-sujuud : desire to prostate; aastaan-e-naaz : entrance of beloved; jabiiN : forehead)
vo merii arz-e-shauq pe Khaamosh ho gaye,
haaN bhii is javaab kaa matlab nahiiN bhii hai,
(arz-e-shauq : spoken desire)
tanhaaiyaaN haiN aur tasavvuur kii lazzateN,
yuuN dekhiye to merii shab-e-Gham hasiiN bhii hai,
(tasavvur : imagination)
le jaauuN kis jagah dil ulfat-shaar ko,
kyuuN dosto Khuluus kii pursish kahiiN bhii hai,
(ulfat-shaar : desirous of affection; Khuluus : sincerity; pursish : inquiring)
be-kaifiyoN meN mausam-e-gul bhii guzar gayaa,
haaN pairahan meN jeb bhii hai aastiiN bhii hai,
(be-kaif : without exhilaration; mausam-e-gul : season of flower; pairahan : dress; jeb : pocket)
kuch yuuN bhii harf-e-shikvaa se na-aashna haiN lab,
kuch paas-e-Khaatir-e-nigaah-e-sharmgiiN bhii hai,
(harf-e-shikvaa : words of complaint; lab : lips: sharmgiiN : ashamed)
haiN har qadam pe kuu-e-malaamat kii ThokareN,
ab aasmaN hii kyaa merii dushman zamiiN bhii hai,
(kuu-e-malaamat : place for reproach)
“Jauhar” ki saadgii-e-tabiiyat to dekhiye,
duniyaa kii bhii havas hai talabgaar-e-diiN bhii hai.
(saadgii-e-tabiiyat : simple nature; talabgaar-e-diiN : seeker of religion)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 324