donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye, *
Dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
aql hairaaN hai, kyaa kiya jaaye,
(pariishaaN : distressed; aql : mind; hairaaN : perplexed)
shauq-e-mushkil-pasand, unkaa husuul,
saKht aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
(shauq : desire; mushkil-pasand : fond of difficulties;
 husuul : attainment; saKht aasaaN : too easy)
ishq-e-KhuubaaN ke saath hii ham meN,
naaz-e-KhuubaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
(ishq-e-KhuubaaN : love of the beautiful people; 
naaz-e-KhuubaaN : pride of the beautiful people)
be-sabab hii merii tabii’at-e-Gham,
sab se naalaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
(be-sabab : without reason; tabii’at : nature; 
naalaaN : complaining)
baa-vajuud unkii dil-navaazii ke,
dil gurezaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
(baa-vajuud : despite of; dil-navaazii : blandishments;
 gurezaaN : fleeing)
maiN to naqd-e-hayaat laayaa thaa,
jins arzaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
ham samajhte the ishq ko dushvaar,
ye bhii aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
vo bahaaroN kii naaz-parvardah,
ham pe naazaaN hai, kyaa kiyaa jaaye,
(bahaaroN : of spring; naaz-parvardah :
 delicately brought up, a spoilt child; naazaaN : sporting)
misr-e-lutf-o-karam  meN bhii ai “Jaun”,
yaad-e-kin’aaN hai , kyaa kiyaa jaaye .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365