donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya, *
Gaahe gaahe bas ab yahi ho kya,
tumse milkar bahut khushi ho kya,
mil rahi ho bade tapaak ke saath,
mujhko yaksar bhula chuki ho kya,
yaad hain ab bhi apne khwaab tumhei’n,
mujhse milkar udaas bhi ho kya,
bas mujhe yunhi ek khyaal aaya,
sochti ho to sochti ho kya,
ab meri koii zindagi hi nahi’n,
ab bhi tum meri zindagi ho kya,
kya kaha, ishq jaawidaani hai,
aakhri baar mil rahi ho kya,
haan, fazaa yaan ki soyi soyi si hai,
to bahut tez roshni ho kya,
mere sab tanz be-asar hi rahe,
tum bahut door jaa chuki ho kya,
dil mein ab soz-e-intizaar nahi’n,
shamm-e-ummid ! bujh gayi ho kya.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 420