donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koi haalat nahin ye haalat hai, *
Koi haalat nahin ye haalat hai,
ye to aashobnaak soorat hai,
anjuman mein ye meri khaamoshi,
burdbaari nahin hai wahshat hai,
tujhse ye gaah gaah ka shikwa,
jab talak hai basa-ganeemat hai,
khwashien dil ka sath chhor gayiiN,
ye aziyat badi aziyat hai,
log masroof jaante hain mujhe,
yaan mera gham hi meri fursat hai,
tanz pairaa-e-tabassum mein,
is takalluf ki kya zaroorat hai,
hamne dekha to hamne ye dekha,
jo nahin hai wo khuubsurat hai,
waar karne ko jaanisar aayein,
ye to eesaar hai inayat hai,
garm-joshi aur is qadar kya baat,
kya tumhein mujhse kuch shikayat hai,
ab nikal aao apne andar se,
ghar mein saamaan ki zaroorat hai,
aaj ka din bhi aish se guzra,
sar se paa tak badan salamat hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 487