|
* Har baar mere saamne aatii rahii ho tum *
Har baar mere saamne aatii rahii ho tum,
har baar tum se mil ke bichha.Dataa rahaa huu.N mai.n ,
tum kaun ho ye Khud bhii nahii.n jaantii ho tum ,
mai.n kaun huu.N ye Khud bhii nahii.n jaantaa huu.N mai.n ,
tum mujh ko jaan kar hii pa.Dii ho azaab me.n ,
aur is tarah Khud apnii sazaa ban gayaa huu.N mai.n ,
tum jis zamiin par ho mai.n us kaa Khudaa nahii.n ,
bas sar basar aziiyat-o-aazaar hii raho ,
bezaar ho ga_ii ho bahut zindagii se tum ,
jab bas me.n kuchh nahii.n hai to bezaar hii raho,
tum ko yahaa.N ke saayaa-e-paratau se kyaa Gharaz,
tum apane haq me.n biich kii diivaar hii raho,
mai.n ibtadaa-e-ishq me.n bemahar hii rahaa,
tum intahaa-e-ishq kaa miyaar hii raho,
tum Khuun thuukatii ho ye sun kar Khushii hu_ii,
is rang is adaa me.n bhii pur_kaar hii raho,
mai.n ne ye kab kahaa thaa ke muhabbat me.n hai najaat,
mai.n ne ye kab kahaa thaa ke vafadaar hii raho ,
apanii mataa-e-naaz luTaa kar mere liye,
baazaar-e-iltafaat me.n naadaar hii raho,
jab mai.n tumhe.n nishaat-e-muhabbat na de sakaa,
Gam me.n kabhii sukuun-e-rafaaqat na de sakaa ,
jab mere saare charaaG-e-tamannaa havaa ke hai.n,
jab mere saare Khvaab kisii bevafaa ke hai.n,
phir mujhe chaahane kaa tumhe.n ko_ii haq nahii.n,
tanhaa karaahaane kaa tumhe.n ko_ii haq nahii.n. |
|