donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaun Eliya
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Nayii Khvaahish rachaa’ii jaa rahii hai, *
Nayii Khvaahish rachaa’ii jaa rahii hai,
terii furqat manaa’ii jaa rahii hai,
nibha’ii thii na humne jaane kis se,
ke ab sab se nibha’ii jaa rahii hai,
ye hai taamiir-e-duniyaa kaa zamaanaa,
havelii dil kii Dhaa’ii jaa rahii hai,
kahaN lazzat vo soz-e-justujuu kii,
yahaaN har chiiz paa’ii jaa rahii hai,
(soz-e-justujuu : pain of longing)
sun ae suuraj, judaa’ii mausamoN ke saath,
meri kyaarii jalaa’ii jaa rahii hai,
bahut bad-haal haiN bastii tere log,
to phir tuu kyuuN sajaa’ii jaa rahii hai,
Khusha-e-ahvaal  apnii zindagii kaa,
saleeqe se ganva’ii jaa rahii hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 412