donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Javed Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekhiye to lagta hai *
Dekhiye to lagta hai,
zindagi ki raahon mein,
aik bheer chalti hai,
sochiye to lagta hai,
bheer mein hain sab tanha,

Jitne bhi yeh rishte hain,
kaanch ke khilone hain,
pal mein toot sakte hain,
aik pal mein ho jaye,
kon jaane kab tanha!

Dekhiye to lagta hai,
jaise yeh jo duniya hai,
kitni rangeen mehfil hai,
sochiye to lagta hai,
kitna gham hai duniya mein,
kitna zakhmi her dil hai.

Woh jo muskurate thay,
to kisi ko khuwabon mein,
apne paas paate thay,
unki neend tooti hai,
aur hain woh ab tanha!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 492