* Nafas nafas mei'n rawa'n izteraab ka mausam *
Nafas nafas mei'n rawa'n izteraab ka mausam
kaha'n se laata hai taaza gulab ka mausam
safar mei'n dhoop se jalta rahe badan apna
thakan se choor raha maahtab ka mausam
nigahe'n dhoondti rahti hai'n manzile'n apni
sakoote shab mei'n nehaa'n inqelaab ka masuam
rago'n mein daurhte phirte hai kaif ke naghme
namaze shauq mei'n namnaak khawb ka mausam
faraze daar pe latki hai zindagi 'Azad'
meri hayat bhii thahrii azaab ka mausam
|