donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Danish
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* " HIJRATON KE BAAD " *
" HIJRATON  KE  BAAD  "
Yeh Shahr E Tamanna To -
Ek Shahr Hai Pathar Ka -
Phir Shahr E Tamanna Se -
Kyun Rakhte Ho Umeedain ?
Yaan Rasm Bhi Pathar Ki -
Umeedain Hain Pathar Ki,
Yaan Phool Bhi Pathar Ke -
Kaantey Bhi Hain Pathreeley,
Yaan Farsh To Tha Pathar -
Aur Arsh Bhi Pathreeley,
Maayain Bhi Hain Pathar Ki
Aulaad Bhi Pathreeley,
Pathar Ka Nagar Dekha -
Pathar Ka Jigar Dekha -
MakeUp Ka Kohar Lekar -
Rukhsaar Bhi Pathreeley,
Maghrib Se To Lalchaa'ey -
Mashriq Se Youn Ghabraey,
Aaneko Yahan Aa'ey -
Aur Aake Bhi Pachtaaey,
Ab Waqt Yeh Kahta HaI -
Aagey Hi Barhe Jaao -
Peechey Jo Kabhi Dekha -
HO JAAOGEY PATTHAR KE....!
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 344