donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Hayat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Rooh Mei.N Phail Gai Hai Koi Khushboo Jaise *
Rooh Mei.N Phail Gai Hai Koi Khushboo Jaise
Mere Aaghosh-e-takhayyul Mei.N Basey Tu Jaise

Aaj Kal Paon Zami.N Par Nahi.N PaRhtey Mere
Kar Gayaa Hai Mere Dil Par Koi Jaadu Jaise

Bar-ha Barq Si Yoo.N Neend URHa Deti Hai
Pao.N Mein Bandh Ke Aaye koi Ghungroo Jaise

Yoo.N Bhi Chhatey Hai.N Teri Yaad Ke Baadal Dil Par
Bheegey Bheegey Tere Shaano.N Pe Ho.N Gesoo Jaise

Husn-e-barham Ki Tere Sholaa Numaai Tobaa
Mosam-e-gul MeI.N Gulaabo.N Ko Lage Loo Jaise

Kiya Hua Hai Ke Meri Piyas Bujhaye Na Bujhey
Ankh Mei.n Sookh Gaye Ho.N Mere Aansoo Jaise

Ek Aalam Hai Khamoshi Ka Mere Ghar Mein Hayat
De Gaya Koi Mujhey Dard Pe Qaaboo Jaise

Jawaid Hayat
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359