donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jawaid Saba
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Admi kahan jayay *
Admi kahan jayay
roz o shub kay hangamay
rasta nahi milta
admi kay under ka rasta nahi khulta
 saaz aor surroN kay beech
baat kernay lugti hay
admi ki tanhai
Saaz say ubherti hay admi ki tanhai
admi ubherta hay
admi kay under say
apni baat kahnay ko admi tarasta hay
lufz kay khalaooN may
koo ba koo bhatakta hay
 lufz say zyada hay admi tanhai
roz ek nai tamseel chahti hay tanhai
Raag kay surooN may hay Admi ki tanhai
aor aisay aalm may
Admi kahan jayay
 
Shaher may maeeshat kay jitnay karkhanay hein
un may kaam aati hay admi ki tanhai
Ahni mashinooN say dhul kay jub nikalti hay
Admi  ki tanhhai door kernay lagti hay
admi ki tanhai
phir bhi admi tanha
kon  os taraf dekhay
os taraf hay hangama
bay hisi ka hangama
bay basi ka hangama
aagahi ka hangama
 unglyooN ki junbish say saaz may uterti hay
admi tanhai
aao es taraf dekheen
es taraf hay tanhai
naaz.e  sud maseehai
 kon os taraf dekhay
os taraf andhera hay
 admi ki tanhai
ek nya sawera hay
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407