|
* Kisne vaadaa kiyaa hai aane kaa *
Kisne vaadaa kiyaa hai aane kaa,
husn dekho Ghariib Khaane kaa,
ruuh ko aaiinaa dikhaate hai.n,
dar-o-diivaar muskuraate hai.n,
aaj ghar, ghar banaa hai pahlii baar,
dil me.n hai Khush saliiqagii bedaar,
jamaa samaa.N hai aish-o-ishrat kaa,
Khauf dil me.n fareb-e-qismet kaa,
soz-e-qalb-e-kaliim aa.Nko.n me.n,
ashk-e-ummiid-o-biim aa.Nkho.n me.n,
chashm-bar-raah-e-shauq ke maare,
chaa.Nd ke intazaar me.n taare. |
|