donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jurrat Qalander Bakhsh
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chhaa rahii kaalii ghaTaa jiyaa moraa laharaaye hai *
Chhaa rahii kaalii ghaTaa jiyaa moraa laharaaye hai ,
sun rii koyal baa.Nvarii tuu kyuu.N malhaar gaaye hai,
ai papiihaa aa idhar mai.n bhii saraapaa dard huu.N ,
aam par kyuu.N jam rahaa hai mai.n bhii to aisii zard huu.N ,

farq itanaa hai ki us me.n ras hai mujh me.n haay hai,
saare aazaaro.n se ba.Dhake ishq kaa aazaar hai ,

aafato.n me.n jaan-o-dil kaa Daalanaa bekaar hai ,
bevafaa se dil lagaakar kyaa ko_ii phal paaye hai,
ai papiihaa chup Khudaa ke vaaste tuu ho zaraa ,
raat aadhii ho chukii hai ab tujhe kyaa hogayaa ,

terii pii-pii se papiihaa pii mujhe yaad aaye hai,
muddato.n Dhuu.NDhaa piyaa ko mai.n ne kar jogan kaa bhes, 

na to mai.n ne un ko paayaa aur na paayaa un kaa des ,
log kahte hai.n ki Dhuu.NDhe se Khudaa mil jaaye hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 301