donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kafeel Aazer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* GhaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN, *
GhaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN,
maiN ek gehraa samandar ban gayaa huuN,
terii yaadoN ke angaaroN ko aksar,
tasavvur ke laboN ko chuumtaa huuN,
(tasavvur : imagination)
ko’ii pehchaan-ne vaalaa nahiiN hai,
bhare baazaar meN tanhaa khaRaa huuN,
meraa qad kitnaa uuNchaa ho gayaa hai,
falak kii vus’atoN ko naaptaa huuN,
( falak : heaven; vus’at : expansion; naaptaa : measure)
vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN,
ke jaise maiN bhii ko’ii haadisaa huuN,
badalte mausamoN kii diary se,
tere baare meN aksar puuchtaa huuN,
kisii kii yaad ke pattoN ko “Aazer”,
havaaoN se bachaa kar rakh rahaa huuN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 471