donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kafeel Aazer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa, *
Tanhaa’ii kii galii meN havaaoN kaa shor thaa,
aaNkhoN meN so rahaa thaa andheraa thakaa hua,
barsoN se chal rahaa hai ko’ii mere saath saath,
hai kaun kaash us se maiN ek baar puuchtaa,
dil meN utar ke bujh gayii yaadoN kii chaaNdnii,
aaNkhoN meN intizaar kaa suuraj pighal gayaa,
choRhii hai un kii chaah to ab lag rahaa hai yuuN,
jaise maiN itne roz andheroN meN qaid thaa,
 
maiN ne zaraa sii baat kahii thii mazaaq meN,
tumne zaraa sii baat ko itnaa baRhaa liyaa,
kamre meN phailtaa rahaa cigarette kaa dhuuaaN,
maiN band khiRkiyoN kii taraf dekhtaa rahaa,
“Aazer” ye kis kii simt baRhe jaa rahe haiN log,
is shah’r meN to mere sivaa ko’ii bhii na thaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 460