* Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo *
Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo
log jal jayenge suraj ki tamanna na karo
waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai
ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo
kirchiya ToTe hue aks ki chobh jayengi
aur kuch roz abhi aina dekha na karo
ajnabi lagne lage Khud tumhain apna hi wajood
apne din rat ko itna bhi akela na karo |