donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaif Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Daro-deewar pe shakleN-si banane aaii *
Daro-deewar pe shakleN-si banane aaii
Phir ye barish meri tanhaaii churane aaii.

Zindgi baap ki manind sazaa deti hai
Raham-dil maaN kii tarah maut bachane aaii.

Aajkal phir dile-betaab kii bateN haiN wahi
Hum to samjhe the ke kuchh akl thikane aaii.

Dil meiN aahat-si hui, rooh mein dastak guNjii
Kiski khushboo mujhe ye mere sirhane aaii.

Maine jab pehle-pehal apna watan chhoda tha
Door tak mujhko ik aawaaz bulane aaii.

Teri manind teri yaad bhi zalim nikli
Jab bhi aaii hai, mera dil hi dukhane aaii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 450