donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaif Bhopali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Thoda-sa aks chaNd ke paikar meiN daal de *
Thoda-sa aks chaNd ke paikar meiN daal de
Tu aake jaan raat ke manzar meiN daal de.

Jis din meri jabiN kisi dehleez par jhuke
Us din khuda shigaaf mere sar meiN daal de.

Allaah tere sath hai, mallaah ko na dekh
Ye tooti-phooti naav samandar meiN daal de.

Aa tere maalo-zar ko maiN takdees baksh duN
La apnaa maalo-zar meri thokar meiN daal de.

Bhaag aise rahnuma se jo lagta hai khijr-sa
Jaane ye kis jagah tujhe chakkar meiN daal de.

Is_se tere makaan ka manzar hai badnuma
Chingari mere phoos ke chhappar meiN daal de.

Maine panaah dii tujhe barish ki raat meiN
Tu jate-jate aag mere ghar meiN daal de.

Ae ‘kaif’ jaagte tujhe pichhlaa pahar huaa
Ab laash jaise jism ko bistar meiN daal de.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 503