donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaifi Azmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* But-shikan ko’ii kahiiN se bhii na aane paaye, *
But-shikan ko’ii kahiiN se bhii na aane paaye,
hamne kuch but abhii siine meN sajaa rakhe haiN,
apnii yaadoN meN basaa rakhe haiN,
dil pe ye soch ke path-raao karo diivaanoN,
ke jahaaN hamne sanam apne chhupaa rakhe haiN,
vahiiN Ghazni ke Khudaa rakhe haiN,
but jo TuuTe to kisii tarah banaa leNge unheN,
tukRe-tukRe sahii daaman meN uThaa leNge unheN,
phir se ujRe hu’e siine meN sajaa leNge unheN,
Gar Khudaa TuuTegaa ham to na banaa paayeNge,
uske bikhre hu’e tukRe na uThaa paayeNge,
tum uThaa lo to uTha lo shaayad,
tum banaa lo to banaa lo shaayad,
tum banaao to Khudaa jaane banaao kaisaa,
apne jaisaa hii banaaya to qayaamat hogii,
pyaar hogaa na zamaaneN meN muhabbat hogii,
dushmanii hogi, adaavat hogii,
hamse uskii na ibaadat hogii,
vahshat-e-but-shikanii dekh ke hairaan huuN mai’n,
but-parastii mera shevaa hai ke insaan huuN mai’n,
ek na ek but to har ek dil meN chhupaa hotaa hai,
uske sau naamoN meN ek naam Khudaa hotaa hai.

but-shikan : idol breaker
path-raao : barrage of rocks
Ghazni : Afhan invader
adaavat : animosity
daaman : part of the dress
shevaa : trade, profession
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 427