|
* Mere dil me'n tu hi tu hai dil ki dava kya karu'n, *
Mere dil me'n tu hi tu hai dil ki dava kya karu'n,
Dil bhi tu hai jan bhi tu hai tujhpe fida kya karu'n,
Khud ko khokar tujhko pa kar kya kya mila kya kahu'n,
Tera hoke jiine me'n kya kya aya maza kya kahu'n,
Kaise din hai'n kaisi rate'n kaisi fiza kya kahu'n,
Meri hoke tune mujhko kya kya diya kya kahu'n,
Meri pahalu me'n jab tu hai phir mai'n dua kya karu'n,
Dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fida kya karu'n, |
|