* Waqt ne kiyaa kya hasii.n situm *
Waqt ne kiyaa kya hasii.n situm
tum rahe na tum, hum rahe na hum.
beqaraar dil is tarah mile
jis tarah kabhii judaa na the
tum bhii kho gaye, hum bhii kho gaye
eik raah par chal ke do qadam.
jaayenge kahaa.n soojhtaa nahii.n
chal paRe magar raastaa nahii.n
kya talaash hai, kuchh pataa nahii.n
bun rahe.n hai.n dil khwaab dum-b-dum.
waqt ne kiyaa kya hasii.n situm.
|