donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaifi Azmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hoke majboor mujhe usne bhulaaya hoga *
Hoke majboor mujhe usne bhulaaya hoga
zehar chupke se davaa jaan ke khaaya hoga.

dil ne kuchh aise bhi afsaane sunaaye ho.nge
ashk aa.nkho.n ne piye aur na bahaaye ho.nge
ba.nd kamre me.n jo khat mere jalaaye ho.nge
eik eik harf jabii.n par ubhar aaya hoga.

usne ghabraake nazar laakh bachaayii hogi
mitke ik naqsh ne sau shakl dikhaayii hogi
mez se jab meri tasveer hataayii hogi
har taraf mujhko taRaptaa huaa paaya hoga.

chheR kii baat pe armaa.n machal aaye ho.nge
gham dikhaave kii ha.nsii me.n ubal aaye ho.nge
naam par mere jab aa.nsoo nikal aaye ho.nge
sar na kaa.ndhe se saheli ke uthaaya hoga.

zulf zid karke kisii ne jo banaayii hogi
aur bhi gham kii ghataa mukhRe pe chhaayii hogi
bijlii nazaro.n se kayi din na giraayi hogi
rang chehre par kayii roz na aayaa hoga.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386