donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ukta ke ab bahut sitam baaghbaa’n se hum, *
Ukta ke ab bahut sitam baaghbaa’n se hum,
Bijli ki kar rahe hai’n dua aasma’n se hum,
Ghabraye’n kiyo’n na mashq jafae buta’n se hum,
Laye’nge roz aik kaleja kaha’n se hum,
Taazeem mehmaa’n ka raha kis qadar khayal,
Bijli chali falak se uthe aashiya’n se hum,
Badnam ho ke dahar mei’n jeena nahi qubool,
Baaz aaye charah saaziye dared neha’n se hum,
Roya kare’n na kiyo’n dil marhoom ke liye,
Aisa rafeeq dhoond ke laaye’n kaha’n se hum,.
Ae bekasi kaha’n hai Khoda ke liye sambhaal,
Sara b utha rahe hai’n kisi aasta’n se hum,
Dono’n hi saath saath gharibul watan hue,
Bijli falak se chhoot gayi aashiya’n se hum,
“Aajiz” adu ne khoob hame’n aazma liya,
Nikle har aik maarkae imtehaa’n se hum.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 391