donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maikhane mei’n chhorh aaye ke ghar bhool gaye hum, *
Maikhane mei’n chhorh aaye ke ghar bhool gaye hum,
Ae zinda dili tujh ko kidhar bhool gaye hum,
Muddat hui parda shabe ghum ka nahi uttha,
Kis cheez ka hai  naam sehar bhool gaye hum,
Deevane hai’n kya khaak zamaane se larhe’nge,
Shamsheer uthaayi to sapar bhool gaye hum,
Har simt hai bheerh karishmo’n ki tumhaare,
Dil kis ne liya kis ne jigar bhool gaye hum,
Ghurbat hi ki ab khaak moqaddar mei’n likhi hai,
Woh raah jo pahunchaati hai ghar bhool gaye hum,
Rasta hi dikhana to nahi kaam nazar ka,
Thokar hi khaati hai nazar bhool gaye hum,
Auro’n ko bhi jis zakhm se dekha jo pareshaa’n,
Apni khalish zakhm jigar bhool gaye hum,
Marne ka to fun kab ka faramosh hua tha,
Jeene ka bhi duniya mei’n hunar bhool gaye hum,
Dhijji koi daaman ki tere waste rakhna,
Is saalbhi ae deedae tar bhool gaye hum,
Sauda hi liya ishq mei’n sar bhool gaye hum,
Kuchh le chale kuchh zaade safar bhool gaye hum,
Kya kya na tera zulm hua jaane hazee’n per,
Bhoola nahi jata tha magar bhool gaye hum,
Duniya ki khabar se kiya duniya ko khabardar,
Waqt aaya to apni hi khabar bhool gaye hum,
Itna to raha yaad nazar unki uthi thii,
Kya kah gayii thi unki nazar bhool gaye hum,
Maqsoode heyat bushra too hi bata de,
Afsos kea e shama sahar bhool gaye hum,
Us dar pe jhukayee to jhuki rah gayii gardan,
Hai bhi ke nahi dosh pe sar bhool gaye hum.



Kotaah apna deedae hasrat nagar na ho,
Ooncha hai baame husn to neechi nazar na ho,
Said ajal na ho ke shikaare nazar na ho,
Ik jaan zaar meri kidhar ho kidhar na ho,
Phir panjae junoon shabe gham hai josh per,
Phir chaak chaak daamano jaib o sahar na ho,
Apna shariik ranj bhi ham chahte nahi,
Ham jis muqaam per hai’n koi bhi udhar na ho,
 Aankhe’n bhi saath saath bani thii”n gunaahgar,
Yeh kya ke dil aseer bala ho nazar na ho,
Mahwe khayal yaar rahu’n be khudi mei’n bhi,
Unki khabar zaroor ho apni khabar na ho,
Uski baqa hi per to baqae hayaat hai,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 494