donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ooncha hai baame husn to neechi nazar na ho, *
Kotaah apna deedae hasrat nagar na ho,
Ooncha hai baame husn to neechi nazar na ho,
Said ajal na ho ke shikaare nazar na ho,
Ik jaan zaar meri kidhar ho kidhar na ho,
Phir panjae junoon shabe gham hai josh per,
Phir chaak chaak daamano jaib o sahar na ho,
Apna shariik ranj bhi ham chahte nahi,
Ham jis muqaam per hai’n koi bhi udhar na ho,
 Aankhe’n bhi saath saath bani thii”n gunaahgar,
Yeh kya ke dil aseer bala ho nazar na ho,
Mahwe khayal yaar rahu’n be khudi mei’n bhi,
Unki khabar zaroor ho apni khabar na ho,
Uski baqa hi per to baqae hayaat hai,
Ham bhi na ho’n yeh soze mohabbat agar na ho,
Wahshat mei’n qaid jaib o garibaa’n hai naguwaar,
Dashte junoo’n mei’n koi mera ham safar na ho,
Kah de koi pukar ke ham bhi chaman mei’n hai’n,
Maghroor itni bulbul shoreedah sar na ho,
Kya baat hai ke aankho’n mei’n jachta nahi koi,
Meri nigah mei’n kahi’n un ki nazar na ho,
Na kam apna shauq mohabbat rahe,rahe,
Badnam unki husn ki duniya magar na ho,
Deedare yaar mei’n na takalluf koi rahe,
Pardah nazar ka beech mei’n haayel agar na ho,
Khaincha hai hum ko khwaab tasawwur ne is jagah,
Peeke khayal ka bhi jaha’n per guzar na ho,
Ham ko to apni khana badoshi pe naaz hai,
Dashte bala ki khair hai “Aajiz” to ghar na ho.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 466