donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Maan lete hai’n sitam ki tumhe’n aadat hogi, *
Maan lete hai’n sitam ki tumhe’n aadat hogi,
Ham jo mar jaayenge phir kis pe enayet hogi,
Na jaha’n dard na armaan na hasrat hogi,
Ae Khoda woh mere kis kaam ki jannat hogi,
Mere naalo’n se na ho aap ki thokar se sahi,
Ik na ik roz to honi hai qayamat hogi,
Sunta hoo’n khanae dushman pe giri hai bijli,
Ho na ho yeh mere aaho’n ki shararat hogi,
Ishq mei’n baat banana hame’n aati hi nahi,
Ham to jo arz karenge woh haqiqat hogi,
Hashr mei’n parda uthega jo woh fitna taraz,
Munh chhupaye hue daaman se qayamat hogi,
Laash kiyo’n uski gali se nahi barhti aage,
Chaarah gar dekhna dil mei’n koi hasrat hogi,
Dil be jaani ko na thukrayo kahe dete hai’n,
Phir yeh fitna koi utha to qayamat hogi,
Jaan jaati hai hasino’n pe to parwa kya hai,
Jee bhi lenge kabhi marne se jo fursat hogi,
Qatl bhi aap karenge to na shikwa hoga,
Ham agar uf bhi karenge to shikayet hogi,
Koi to hoga ghame hijr mei’n hamdam apna,
Tum na hoge to tumhari shabe furqat hogi,
Mai’n ne to kar hi diya naam wafa ka raushan,
Kuchh na hogi to charaghe shabe furqat hogi,
Subah wasl aa na sakegi mere gham khaane tak,
Raah roke hue zaalim shabe furqat hogi,
Khaak parda na bichhayegi wafa ki chaader,
Daamane shama se lipti hui hasrat hogi,
Naam rah jayega go ham na rahenge “Aajiz”,
Wajahe shohrat yehi badnaam mohabbat hogi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 422