donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zalim tha wo aur zulm ki adat bhi bahut thi *
zalim tha wo aur zulm ki adat bhi bahut thi
majboor the ham us se mohabbat bhi bahut thi
us but ke sitam sah ke dikha hi diya hum ne
go apni tabiyat main bagawat bhi bahut thi
waqif hi na tha ramz-e-mohabbat se wo warna
dil ke liye thori si inayat bhi bahut thi
yun hi nahi mashoor-e-zamana mera qatil
us shaKhs ko is fan main maharat bhi bahut thi
kya daur-e-Gazal tha ke lahoo dil main bahut tha
aur dil ko lahoo karne ki fursat bhi bahut thi
har sham sunate the hasinoo ko Gazal hum
jab mal bahut tha to saKhawat bhi bahut thi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 451