donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haqiiqato’n kaa jalaal de’nge, sadaaqato’n kaa jamaal de’nge, *
Haqiiqato’n kaa jalaal de’nge, sadaaqato’n kaa jamaal de’nge,
tujhe bhi ham ai! Gham-e-zamanaa, Ghazal ke saaNche meN Dhaal deNge,
tapish patangoN ki bakhsh deNge, lahuu chiraaghoN meN Dhaal deNge,
ham unki mehfil meN raH gaye haiN, tau unki mehfil sambhaal deNge,
na bandaa-e- aql-o-hosh deNge, na ahle fiqr-o-khayaal deNge,
tumhaarii zulfoN ko jo daraazee tumhaare aashuftaa haal deNge,
ye aql waale isii tarah se hameN fareb-e-kamaal deNge,
junuuN ke daaman se phuul chun kar, Khirad ke daaman meN Daal deNge,
hamaari aashuftagee salaamat, sulajh hi jaayegii zulf-e-dauraaN,
jo pech-o-kham reh gayaa hai baaqee, wo pech-o-kham bhi nikaal deNge,
janaab-e-shaikh, apni fikr keejiye, ke ab ye farmaan-e-baraahaman hai,
‘butoN ko sajdaa naheeN karoge, tau but-kade se nikaal deNge.
Kaleem Ajiz
(1963)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 443