donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Din ek sitam, ek sitam raat karo ho, *
Din ek sitam, ek sitam raat karo ho,
wo doast ho dushman ko bhi tum maat karo ho,
ham khaaq-nashiiN, tum suKhan-aaraa-e-sar-e-baam,
paas aa ke milo, duur se kyaa baat karo ho,
hamko jo milaa hai, wo tumhiiN se tau milaa hai,
ham aur bhulaa deiN tumheiN, kyaa baat karo ho,
daaman pe ko’ii chhiiNt, na Khanjar pe ko’ii daag,
tum qatl karo ho ke karamaat karo ho,
bakne bhi do Ajiz ko, jo bole hai so bake hai,
deewaana hai, deewaane se kyaa baat karo ho.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 753