donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* WALLAH KIS GHAZAB KE HO HANS MUKH DIKHAAYE JAAO, *
WALLAH KIS GHAZAB KE HO HANS MUKH DIKHAAYE JAAO,
HAM AAH AAH KARTE HAI'N TUM MUSKURAYE JAAYO,
HAM TO GHAZAL KE PHOOL KHILAATE HI JAAYE'NGE,
TUM JAANTE HO ZAKHM LAGANA LAGAAYE JAAYO,
FANKAAR TUM SITAM KE HO HAM SHAAYERE WAFA,
HAM APNI GAAYE JAAYE'N TUM APNI SUNAAYE JAAYO,
MERE FASAANE PER HAI TUMHAARA HI IKHTIYAAR,
JO BAAT CHAAHO APNI TARAF SE MILAAYE JAAYO,
AHLE WAFA KA JALTE BADAN SE RAHO ALAG,
HAM DHOOP DHOOP JAATE HAI'N TUM SAAYE SAAYE JAAYO,
APNO'N KO HAM TO GHAIR TUMHAARE LIYE BANAAYE'N,
AUR TUM HAMARE GHAIR KO APNA BANAAYE JAAYO,
HAM HAI'N AGAR TO KHOON JIGAR KI KAMI NAHI,
JITNE CHIRAAGH BAZM MEI'N CHAAHO JALAAYE JAAYO,
AATI NAHI HAI AAJ TO KAL AAYEGI BAHAAR,
GHUNCHO'N KHIZAA'N KA GHAM NA KARO MUSKURAAYE JAAYO,
WOH SUN KE AN SUNI JO KARE HAI KYA KARE,
TUM AE "KALIM" APNI GHAZAL GUNGUNAAYE JAAYO.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 469