donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BATA PHIR AAJ KIYO'N TAARO'N KI GARDISH TEZ HAI SAAQI, *
BATA PHIR AAJ KIYO'N TAARO'N KI GARDISH TEZ HAI SAAQI,
HAWA KIYO'N IS QADAR SHERO SHAKAR AAMEZ HAI SAAQI,
YEH KIS JAANE JAHAANE AARZOO KI AAMAD AAMAD HAI,
YEH KIS KI AARZOO MEI'N NABZE MAHFIL TEZ HAI SAAQI,
MIZAAJE WAQT KI CHILMAN SE BAAHAR KIS NE JHAA'NKA HAI,
NEQAAB AAZAD KISKA HUSNE AAFAT KHEZ HAI SAAQI,
YEH KISKE PAYAAR KI MASTI NE SAB KO MAST KAR DAALA,
YEH KIS KE PAIRAHAN KI KHUSHBOO ITNI TEZ HAI SAAQI,
JISE "GUJRAL" KAHTE HAI'N WOH KHUD SHAYER NAHI LEKIN,
MOJASSIM SHER HAI AUR SHER MAANI KHEZ HAI SAAQI,
WAHI IS SHER MAANI KHEZ KO PAHCHAAN JAYEGA,
NAZAR BAAREEK JISKI ZEHAN JISKA TEZ HAI SAAQI,
KINAAR AABE ROOD GANGA HAI GARCHA QAYAM USKA,
LAHOO MEI'N US KE JHELUM KA BHI AAB TEZ HAI SAAQI,
WAHI JO AAJ HAI PEERE MAGHAA'N AIWAANE DEHLI KA,
WAHI LAHORE KA IK SHAHRI NAU KHEZ HAI SAAQI,
SUNI HAI GUFTAGOO USKI AGARCHA GUFTAGOO US KI,
NA JOSH ANGEZ HAI SAAQI NA SHOR ANGEZ HAI SAAQI,
DILO'N KO GARM KARTA HAI MASTIE MOHABBAT SE,
ZABAA'N MEI'N USKI WOH AABE NISHAAT ANGEZ HAI SAAQI,
DILO'N KO JORH DENE KA HUNAR MALOOM HAI US KO,
HAR IK SOOKHI ZAMEE'N US KE LIYE ZAR KHEZ HAI SAAQI,
KAMI AATI NAHI GARCHA BAHUT TAQSEEM KARTA HAI,
HAMESHA PAYAR SE US KA SABU LABREZ HAI SAAQI,
MERE DIL KI TAMANNA BAR BAR UTH UTH KE KAHTI HAI,
BADAL JAAYE YEH DUNITA KYA TA'AJUB KHEZ HAI SAAQI,
USI KE WAASTE "IQBAL" NE SHAYED YEH FARMAAYA,
ZARA NAM HO TO YEH MIT'TII BAHUT ZARKHEZ HAI SAAQI,
YEH USKI HIMMATE MARDAANA SE UMMEED HAI MUJHKO,
JALAAYEGA DIYA HAR CHAND TOOFAA'N TEZ HAI SAAQI,
KHODA TAUFEEQ DE CHAARO'N TARAF WOH PHOOL BARSA DE,
ZAMAANE KI HAWA GARCH SHARAR ANGEZ HAI SAAQI,
DUA KAR DAAMANE "GUJRAL" KE MAHFOOZ RAHNE KI,
CHAMAN MEI'N HAR TARAF KAANTO'N KA NAAKHUN TEZ HAI SAAQI,
BHAROSA KAR KHODA PER CHHERH SAAZE AARZOO APNA,
TERE HAM BAGHL "AAJIZ" BHI NAGHMA REZ HAI SAAQI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 545