donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kaleem Ajiz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Is naz is andaz se tum haye chalo ho, *
Is naz is andaz se tum haye chalo ho,
roz ek Ghazal hum se kahlawaye chalo ho,
rakhna hai kahi'n panv to rakho ho kahi'n panv,
chalna zara aya hai to itraye chalo ho,
diwan-e-gul qaidi-e-zanjir hai aur tum,
kya thath se gulshan ki hawa khaye chalo ho,
mai mai'n koi Khami hai na sagar mai'n koi khot,
pina nahi'n aye hai to chalkaye chalo ho,
hum kuch nahi'n kahte hai'n koi kuch nahi'n kahta,
tum kya ho tumhi sab se kahlawaye chalo ho,
zulfo'n ki to fitrat hai lekin mere pyare,
zulfo'n se bhi zyada balkhaye chalo ho.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 547