COUPLETS
Tujhko dekhoon ki aayena dekhoon ?
Aayena aayena jahaan hua
*****
Anjum thee, chandni thee ki badr-o-halaal thee
Kis kis adaa mein aap the shab-bhar pataa nahin!
****
Ai gesoo-e-ghazal! Teri zulfo’n mein chhao’n hai
Baaqi kisi bhi dhoop mei’n koi shajar nahi’n !
*******
Nazar se aasman ko dekhna bhi kya zaroori hai ?
Tiri zulfo’n mei’n jaanam kahkasha’n hum dekh letey hai’n.
*******
Hum diyaare yaqueen mei’n rahte they
Kisne shahr-e- gumaan mei;n daal diya
********
Saaf kuchh bhi nazar nahi’n aata
Aayena kya tha, aayena kya hai !
******
Kaisa usool-e-shahr hai, kaisa diyaar hai ?
Hum ne shajar lagaye, samar le gaya koi
*******