Abhi to sham hui hai , zara thahar jao
tamaam raat padi hai,zara thahar jao
Barha ke tishnagi-e-deed ja rahe ho kahan?
hamari jaan pe bani hai,zara thahar jao
Phir iske baad hai sahba,na saghar-o-meena
do-char bund hi pi hai,zara thahar jao
Tumhare aariz-e- gulgoon ki fikr hai mujh ko
hawas ki dhoop kadi hai,zara thahar jao
Diyaar-e-shauq mein,chahat ke baam par 'akhtar'
gali-gali mein koi hai,zara thahar jao
*********