Ghazal
Nam-e-gul ko khizan ki shakh par hum dekh lete hain
tiri chahat ki palkon par bhi shabnam dekh lete hain
Nazar se aasman ko dekhna bhi kiya zaruri hai?
tiri zulfon mein jaanam kahkashan hum dekh lete hain
Tujhe ma'aloom kiya nadaan ki ulfat kisko kahte hain
muhabbat karne wale dhher sa gham dekh lete hain
Mukhalif baad -e-sar-sar mein zara lahrane do zulfen
isi mein hum watan ka apne parcham dekh lete hain
Takhaiyul kiya kisi shaheen ki bedaar aankhen hain
ki band aankho se 'akhtar' kiya nahin hum dekh lete hain
****