donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kausar Samreen
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khamosh fiza thee kahee'n saya bhi nahee'n tha *
Khamosh fiza thee kahee'n saya bhi nahee'n tha
Iss shehr mai hamsa koi tanha bhi nahee'n tha

Unchi si haveli mai utarta raha shabb bharr
Kutia mai meri chand ne jhanka bhi nahee'n tha

Kis jurm mai chhini gayee'n mujhse meri aankhain
Unn mai to koi khaab sajaya bhi nahee'n tha

Munsif mera mujrim ka tarafdar baney ga
Iss tarha to mai ne kabhi socha bhi nahee'n tha

Hamm jiss k hawaley se huwe shehr mai badnaam
Uss shakhs ko ham ne kabhi dekha bhi nahee'n tha

SAMREEN wahi shakhs hamain chhorh chala hai
Jiska k bitchar ne ka irada bhi nahee'n tha
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 449