donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Kazim Jarwali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Imaa(n) ka nigahban aqeede ka muhafiz, *
Imaa(n) ka nigahban aqeede ka muhafiz,
Imra(n) ke siwa kaun hai kabe ka muhafiz.

Kuffar ke narghe mein bata deene Mohammad,
Tha kaun tere khoon pasine ka muhafiz.

Us shakhs ke imaan pa shak karti hai duniya,
Tha jiska lahu asr ke sajde ka muhafiz.

Sun aa ke sare shaam,bata kiski hai poti,
Ye kaun hai Allah ke lahje ka muhafiz.

Halat ki har dhoop mein Imran ka daman,
Juzdan ki soorat tha sahife ka muhafiz.

Aa, aake zara shaam ke zindan mein use dekh,
Sajjad ki soorat mein musalle ka muhafiz.

Naize pa jo sooraj hai bata uske ab-o-jad,
Hai kaun andhere mein ujale ka muhafiz.

Aulad ko jo teghon ke saye mein sula de,
Hai kaun chacha aisa bhatije ka muhafiz.

Ye kiska pisar hai jo nusairi ka khuda hai,
Hai kaun nubuwat ke safine ka muhafiz.

Har taaq -e-ibadat mein usi se hai charaghan,
Wo deen ke ek ek dareeche ka muhafiz.

Hai uski zaban naate mohammad ka saheefa,
Wo wahiy-e-Ilaahi ke hai rishte ka muhafiz.

Bin baap ke quraan ko aaghosh mein paala,
Aayet ka nigehbaan wo soore ka muhafiz.

Hai parda-e-ghaibat mein jo,waris hai usi ka,
Hai aaj bhi wo deen ke rutbe ka muhafiz

Abbas-e-Alamdar ke jalwe mein wahi hai,
Aie khake shifa tere dafeene ka muhafiz.

Kazim mujhe kya fikr-e-sine sher ke jab hai,
Mamdooh mera, mere qaseede ka muhafiz.
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 497