* Ai maut! Unhe’n bhulaaye zamaane guzar gaye *
Ai maut! Unhe’n bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye
O jaane vaale aa ki tere intazaar me’n
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gham hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye
kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii’n ab mai’n dosto’n
patthar bhii ghar me’n aaye zamaane guzar gaye
jaane bahaar phuul nahii’n aadamii hoo’n mai’n
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
kyaa kyaa tavaqqoat thii aaho’n se ai 'Khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
|