donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na haaraa hai ishq aur na duniyaa thakii hai, *
Na haaraa hai ishq aur na duniyaa thakii hai,
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai,
sukuuN hii sukuuN hai, Khushii hii Khushii hai,
teraa Gham salaamat mujhe kyaa kamii hai,
vo moujood haiN aur un kii kamii hai,
muhabbat bhii tanhaa’ii-e-daaimee hai,
khatak gudgudii kaa mazaa de rahii hai,
jise ishq kahte haiN shayad yahii hai,
charaaGon ke badle makaaN jal rahe haiN,
nayaa hai zamaanaa, na’ii raushnii hai,
jafaaoN pe ghut ghut ke chup rahne vaalo,
Khaamoshii jafaaoN kii taaiid bhii hai,
mere raahbar mujh ko gum-raah kar de,
sunaa hai ke manzil qariib aa ga’ii hai,
“Khumar”-e-baalaanosh tuu aur taubaa,
tujhe zaahidoN kii nazar lag ga’ii hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348