donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujh ko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gayaa, *
Mujh ko shikast-e-dil ka mazaa yaad aa gayaa,
tum kyuN udaas ho gaye, kyaa yaad aa gayaa,
kehne ko zindagii thii bahut muKhtasar magar,
kuch yuN basar hu’ii ke Khuda yaad aa gayaa,
barse baGhair hi jo ghataa ghir ke khul gayii,
ek be-vafaa kaa ahd-e-vafaa yaad aa gayaa,
maanGeinge ab duaa ke use bhuul jaayein ham,
lekin jo vo bawaqt-e-du’aa yaad aa gayaa,
hairat hai tumko dekh ke masjid meN ai Khumar,
kyaa baat ho gayii jo Khudaa yaad aa gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355