|
* Aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii, *
Aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii,
jazbaat me.n wo pehlii sii shiddat nahii.n rahii.
sar me.n wo intezaar ka saudaa nahii.n rahaa ,
dil par wo dhaRkano.n kii hukuumat nahii.n rahii.
paiham tavaaf-e-koochaa-e-jaanaa ke din gaye,
pairo.n me.n chalne phirne kii taaqat nahii.n rahii.
chehre kii jhurriyo.n ne bhayaanak banaa diyaa,
aaiinaa dekhne kii bhii himmat nahii.n rahii.
kamzorii-e-nigaah ne sanjeedaa kar diya ,
jalvo.n se chheR-chhaaR kii aadat nahii.n rahii.
Allaah jaane maut kahaaN mar gayii 'Khumar'
ab mujh ko zindagii kii zaroorat nahii.n rahii.
|
|