donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khumar Barabankvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dard Bai-Kaif, Gham Bai-Mazza Ho Gaya *
Dard Bai-Kaif, Gham Bai-Mazza Ho Gaya
Ho Na Ho Koi Mujh Say Khaffa Ho Gaya

Baad Rurk-E-tal'luq Yeh Kya Ho Gaya
Rabt Pehlay Say Bhi Kuch Siwa Ho Gaya

Iltifaat-E-Musal'sal Balla Ho Gaya
Khud Mai'n Ghabra Ke unn Say Khaffa Ho Gaya

Gham Ne Iss Tarha Gin Gin Ke Badlay liye
Muskuraana Bhi Ik Haadsa Ho Gaya

Dill Ko Tak-E-Mohabbat Pe Kya Kya Hay Naaz
Laikin Unn Ka Agr Saamna Ho Gaya

Zindagi Ka Yeh Aalam Hay Tairay Bagair
Shaakh Se Phool Goya Judda Ho Gaya

Aurr Bhi Ishq ki Jaan Par ban Gai
Husan Jab Mubtilla-E-Waffa Ho Gaya

Dill Kuch Iss Tarha Dharka Tairri Yaad Mai'n
Mai'n Ye Samjha Tairra Saamna Ho Gaya

Ishq Mai'n Jaan Bhi Day Di Mai'n Ne "Khumaar"
Aaj Haq Zindagi Ka Adda Ho Gaya
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334