|
* Tanhaaii ko raushan karne ka dastoor zara sa hai *
Tanhaaii ko raushan karne ka dastoor zara sa hai
Jismo'n ki tahzeeb nayee hai dil me'n noor zara sa hai
Khali khali sab darwaze aur dareeche khali hai'n
Ik mahtab jo pahloo me'n hai woh bharpur zara sa hai
Naye purane jazbo'n ki poshak salamat hai lekin
Yado'n ke sandooq me'n ab to woh kafoor zara sa hai
Waqt parha to jaane taaluq me'n bhi tujh ko dekhoo'nga
Apni taraf se mauqa dena, yeh manzoor zara sa hai
Oonchi shakhe'n jhuk jati hai'n khud rahmat bardari me'n
Danista keya hath uthaoo'n jab angoor zara sa hai
Zulmat ke is shahar me'n jane kab Khursheed nazar aaye
Kal tak to gumnam tha woh bhi, ab mashoor zara sa hai
Lohra Ghat, Alam Ganj, Patna-7 (Bihar)
|
|