donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khurshidul Hasan Nayyer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* AAJ PHIR YEH KHABAR GHAR AAYII *
AAJ PHIR YEH KHABAR GHAR AAYII,
SHAAKHE GUL LE RAHI HAI ANGRHAAYEE,
UN KE AANE PE ZAHAR UTREGA,
DAS RAHI HAI JO AAJ TANHAYEE,
ZAKHM YAADO'N KE KUCHH HARE NA HUE,
AB KE KAISE CHALI HAI PURWAYEE,
FARQ TAHZEEB NAU MEI'N KUCHH NA RAHA,
KYA HAI RUSWAYEE KYA PAZIRAYEE,
SHAHRE ULFAT SE HOKE AAYA HAI,
PHOOL KI PAT-THARO'N SE BOO AATEE,
AIK JUGNOO KI RAUISHNI MEI'N LIKHA,
CHAAND SURAJ KI JALWA FARMAAYEE,
MERE TAHZEEB KE DARIICHE SE,
JHAANKTI SALF KI HAI PARCHHAYEE,
NAZAR USKI HAI HAR GHAZAL "NAYYER",
LO SHAMA GHUM KI JIS NE BHARHKAYEE.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359