donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khurshidul Hasan Nayyer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dikhaaya jab hai zakhme dil chaman mei’n *
Dikhaaya jab hai zakhme dil chaman mei’n,
Mila aansoo hai chashme sang zan mei’n,
Kahaa’n maahir sitamgar itna fan mei’n,
Hai jitna zor mere baankpan mei’n,
Usi ka husn hai mere sokhan mei’n,
Gulistaa’n jo lut chasm zadan mei’n,
Hai khaalis dard ka mera lebaada,
Nahii pewand raahat pairahan mei’n,
Mere sar se mila jo husn us ko,
Na tha pahle kabhi waaro rasan mei’n,
Mili jis se ruche gul ko tamaazat,
Lahoo daurhe hai who mere badan mei’n,
Saliiqa jis ko aaya guftagoo ka,
Jagah usko mili na anjuman mei’n,
Gulo’n se jo mile hai’n zakhm “Nayyer”,
Nahi’n who dard kaanto’n ki chubhan hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335