donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khurshidul Hasan Nayyer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* chaman meiN jo bahaar hai guloN peh jo nikhaar hai *
chaman meiN jo bahaar hai guloN peh jo nikhaar hai
teree nigaah kaa acar tere laboN kaa payaar hai.

bhigo gai,y hai jo faZaa hawaa jo mushkbaar hai
yeh zulf-e-yaar kee mahak, woh chashm aabdaar hai.

ufaq peh jo dhanak chaRhee,shafaq kaa jo singaar hai
yahee hai oRhnee kaa raNg,yahee to husn-e-yaar hai

nah neeNd aaNkh meiN rahee nah dil peh eKhteyaar hai
"mere lie,Y bhee kiyaa koi,y udaas be qaraar hai"

jhukee naz^ar Khamoash lab adaao,N meiN shumaar hai
inheiN adaa-e-dil baree peh jaan-o-dil necaar hai

kisee se i'shq jab huwaa to ham peh baat yeh khulee
junooN ke ba'd bhee koi,y makaaN koi,y dayaar hai.

sunaa keh bazm meiN teree meraa bhee zikr aagayaa.
to Khush huwaa keh dostoN meiN meraa bhee sumaar hai.

:Hasan: kee hai yeh aarzoo keh unse jaa kahe koi,y
teree adaa peh jaan-e-man Ghazal kaa inHaSaar hai.

maqt^e' meiN :Naiyer: ke bajaae,Y :Hasan: paRhaa jaae,Y is lie,Y keh image puraanee hai. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361