* Teeragi ka be-karaaN, gehra Samandar kaat kar *
Teeragi ka be-karaaN, gehra Samandar kaat kar
neeNd pahunchi hai sehar tak kitney manzar kaat kar
woh tira jadoo-nagar haaEl tha har ik gaam par
meiN yahaN aaya hooN janey kitney Mantar kaat kar
rait kay ghar kar diye mismaar to kya kar liya?
mein kabhi launga woh saahil kay pathhar kaat kar
kar diya sarshaar mujh ko ik hawa kay lams ney
habs kuchh kam ho gaya deewar mein Dar kaat kat
aur kitni baar likhkheigy mujhey tu Zindagi?
yeh naya kya likh diya harf e mukkarar kaat kar?
chaahta hai moTbar ho jaye us ki bartari
eik Suraj dhoop sey saayoN kay paikar kaat kar
|