donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Khushbir Singh Shaad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* poochh letey haiN andherey AasmaaN sey bhi kabhi *
poochh letey haiN andherey AasmaaN sey bhi kabhi
terey Suraj ko guzarna hai yahaN sey bhi kabhi?
 
in shikasta khandaroN meiN dey rahey ho kyuN sada?
laut kar aya hai koi raftgaaN sey bhi kabhi?
 
Zakhm bhar kar surkhru to ho gaya marham , magar
bad-numai ki kasak poochhey nishaaN sey bhi kabhi
 
yeh haseeN manzar bhi chubhtey haiN nazar meiN barha
dil uchat jata hai in kon o makaaN sey bhi kabhi
 
tham chukiN  woh baarisheiN ab yaad kya hoga tujhey?
tuney maangi thi sipar ik saibaaN sey bhi kabhi
 
is tarah ujlat meiN mat kar tajzia kirdaar ka
tu guzar kar dekh meri dastaaN sey bhi kabhi
 
;Shaad; tum is waqt urhhanoN kay nashey meiN choor ho
khair waapas aaogey is AasmaaN sey bhi kabhi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 386